+ Link For Assignments, GDBs & Online Quizzes Solution |
+ Link For Past Papers, Solved MCQs, Short Notes & More |
Dear all,
Welcome again in Khawab Nagar.
Add kijye apnay comments aj k Topic k hwaley se...
Aaj ka tiopic hai..
"MuhAbbaT Mein WaZahatein KaiSi"
Zindagi mein hmarey ird gird bohat se rishtey hotey hain, aur her rishtey ki apni aik khoobsoorti hoti hai…ye bhi sach hai k kabhi kabhi choti choti ghalat fehmiyan kerwahat ka sabab ban jati hain….kuch swalaat humein uksatey hain aur phir hum un k jawabaat dhoondney k liye koshaan rehtey hain…..
Muhabbat ka rishta bhi kuch aisey imtihaan se guzerta hai….kya Muhabbat mein gunjaysh hoti hai wazahaton ki…ya phir Muhabbat naam hai khamoshi ko samajhney ka….aik dusrey ko gehrai tak jaan lainey ka….????
Ap kya kehtey hain….??
Share kijiye apne khayalaat hum se.... :)
Its also the time of dedication of your feeling via poetry, songs & ur comments to your favorite people...
InshALLAH I’ll try ma best to play all da song requests & dedications..
So Be With us tonight..
uR Rj ur fRiEnD...
@@ Rj- A T I F @@
Tags:
+ http://bit.ly/vucodes (Link for Assignments, GDBs & Online Quizzes Solution)
+ http://bit.ly/papersvu (Link for Past Papers, Solved MCQs, Short Notes & More)
+ Click Here to Search (Looking For something at vustudents.ning.com?) + Click Here To Join (Our facebook study Group)Well atif nice topic or ap ka show always acha huta hai…
Topic k elwalay say ma just itna kihna chahun ga simple…k jahan ju muhbahat jis k sath b sincere hu gi..wahan ap ku kabi I thik wazahat ki zarurat nai parti..kun k muhabahat nam hai itamad ka..jab ya nai hu ga then sure wahan pa wazahatahun ki zaruat parhay gi.. or maray nazadik ap jis say b muhabahat kartay han ius ka ik mukaqim huta hai.. so ius ku wu mukaqim hamain zarur dayna chahihay or hamasha ius pa trust karna chahihay..
Or jis din muhabahat k dermihan wazahthun ka silsala shuru hu jata hai..mean ius din ap ki muhabhat ka back end shuru hu jata hai mean muhabahat ma wu chiz nai rahti hai..
Bohat Khoob
hmmmm
really nice n important question in today's topic :)
well mein ager apni baat karun tou meri buri adat keh lein isey...but mein wazahat nhi de sakti..
infct bura lagta hai jub koi investigation karey mujhse.. :S
baherhaal....mein second option ko follow kerti hn...
"ya phir Muhabbat naam hai khamoshi ko samajhney ka….aik dusrey ko gehrai tak jaan lainey ka...
ager apki zindagi mein koi aisa ata hai tou....relation aisa hona chahiye k ap se zayada wo apko janta ho....:)
Na Mang Har Baat Per Wazahtain Ae Dil-E-Nadaan.....
Muhabbat Main Kuch Sawalon k Jawab Nahi Hotey....!
..............................
MuHabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaaN, aap bhi naaraaz, kya karte?
Sanam tujh se muHabbat ka bhala aaghaz kya karte
LaboN per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?
Mire aHbaab kyaa karte, mire dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?
Hujoom-e-shehr me hum kho gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?
Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi TooTe kaanch ki aawaaz, kya karte?
Ham us ke saamne chup saadh kar baiThaa kiye, phir bhi
"Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?"
Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar tum jaan kar woh raaz, kya karte?
nahin zaroorat keh har baat ki wazahat ho
kahin kahin pay yeh ibham khoobsoorat hay
.........................
Mohabbaton mein,
Adawatein kesi!
Chahna kisi ko to phir,
Shiqayatein kesi!
Jab tumhara us par aitbaar hai itna,
To zara zara c baat per WAZAHATEIN kesi....
As salam o alykum...
Topic no doubt bhot mushkil hai mery liye.
q k aj tak main is feeling Muhabbat ko smjh nahi paye....
k kis feeling ko hum muhabbat kehty hain...
parents k sath humari muhabbat tu fitri si baat hai...
main parents ya siblings k sath ki feelings ko discuss nahi kr rahi.
barey barey logoon ney tu apney apney andaz aur feham k mutabiq muhabat ki definations dey di hain.
jahan tak baat hai wazahatain dayney ka tu is topic k mutabiq nahi bta paoon gi...
magr apna experience share zarrur karoon gi wazahatain deny k mutaliq aur wo yeh hai k meri frnds kafi hai Allah k karam sey, but jis ko mujh wazahatain peysh karne ki zarrort pyesh nahi ati, jo mujhey real main smjhti hai, main kya kehna chahti hoon, kya feel kr rahi hoon wo ik hai. jis sey mera aur us ka relation strong rehta hai. personally i hate to explain things to others. aur koshish b hoti hai k agley ko smjh sakoon although kamyab nahi hoti to some extent.
bus kehna yehi hai k panchoon ungliyaan barabar nahi hoti ager koi aysa hai jo ap k liye imp hai aur wo ap ko smjh nahi paya/payi tu give explainations for the misunderstandings.
aysa krny sy relation pe farq nahi parta balkey relation mazboot hota hai.
mera tu yehi manna hai
sorry for large comment.
Dedicate to all jin ki life main koi esp hai... May Allah bless you all. :)
Wo bandagi ki aysi misaal deta hai
Awargi ko sharyat main dhaal deta hai
Wo Khush kalam hai is darja baat karney main
k hurf hurf ko husn o jamal deta hai
Main uska sath jo mangoon zindagi bhar ko
Barey hi haseen tareeq sey taal deta hai
Yeh jan kr bhi k wo mera ho nahi sakta
Wo deakhta hai tu shash o panj mian daal deta hai
plz play these songs
http://www.youtube.com/watch?v=ka1JNhprlag
http://www.youtube.com/watch?v=hU2ai5onqGA
dedicate to all ma sweet frndz :)
HAPPY BIRTHDAY TO our really cute and sweet member
HIRA GHUUMMAN :)
Loadz of luv n prayers for u dearyyy
May u hv many many moRe!
plz play this song specially for HiRA :)
© 2021 Created by + M.Tariq Malik.
Powered by
Promote Us | Report an Issue | Privacy Policy | Terms of Service
We are user-generated contents site. All product, videos, pictures & others contents on site don't seem to be beneath our Copyrights & belong to their respected owners & freely available on public domains. We believe in Our Policy & do according to them. If Any content is offensive in your Copyrights then please email at m.tariqmalik@gmail.com Page with copyright detail & We will happy to remove it immediately.
Management: Admins ::: Moderators
Awards Badges List | Moderators Group
All Members | Featured Members | Top Reputation Members | Angels Members | Intellectual Members | Criteria for Selection
Become a Team Member | Safety Guidelines for New | Site FAQ & Rules | Safety Matters | Online Safety | Rules For Blog Post