+ Link For Assignments, GDBs & Online Quizzes Solution |
+ Link For Past Papers, Solved MCQs, Short Notes & More |
Dear All,
Put kijye apnay comments aj k topic per.. Meray Khawab Raiza Raiza...
es sentence se juri jo bhi baat jo bhi feelings ap k zehan ma ati hain wo kindly putt kijye ..
topic se related poetry b add kijye and for song dedication also ...
Ur Own Rj,
A T I F
Tags:
+ http://bit.ly/vucodes (Link for Assignments, GDBs & Online Quizzes Solution)
+ http://bit.ly/papersvu (Link for Past Papers, Solved MCQs, Short Notes & More)
+ Click Here to Search (Looking For something at vustudents.ning.com?) + Click Here To Join (Our facebook study Group)mera khawab tha main jo bi frnd banayoin wo hamasha mera sath rahain but jab bi mere acchi frnd banti thi kisi ne kisi waja se hamara sath choot jata tha so ab main frnd nayi banati ka kahin mera aik aur khawab raza raza ne hojaya
Jab yaad ka qissa kholoun tau, kuch dost buhat yaad aate hain,
Main guzre pal jo soochun tu, kuch dost buhat yaad aate hain.
Ab jaane konsi nagri mein abaad hain ja kar muddat se,
Main raat gaye tak jaagun tau, kuch dost bahaut yaad aate hain.
Kuch baatein thein phoolon jaisi, kuch lehje khushboo jaise thay,
Main shehr e chaman mein tehlun tu, kuch dost buhat yaad aate hain.
Woh pal bhar ki narazgiyan,aur maan bhi jaana pal bhar mein,
Ab khud se jab bhi roothoun tu, kuch dost buhat yaad aate hain
lakin rabia ho sakta hai koi or aaap ko bohat yaaad karta ho
Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main
Main ney shayed dair kar di khud sey bahar aaney main
Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan
main kitna tanha betha hoon qurbat kai veeraney main
bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad kay sath
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main
aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main
baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main
aik malal ki gard samaitay main ney khud ko paar kia
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main
jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main
aik wazahat kai lamhey main mujh par ye aehwaal khula
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main
pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
ab tou Azm bikhar jata hoon main khud ko behlaney main
Kindly read out this one:)
Kahan Aker Rukne The Raste, Kahan Moor Tha, Use Bhool Ja
Woh Jo Mil Gaya Use Yaad Rakh, Jo Nahin Mila, Use Bhool Ja
Woh Tere Naseeb Ki Barishein, Kisi Or Chat Per Baras Gayein
Dil-e-bekhabar Meri Baat Sun, Use Bhool Ja, Use Bhool Ja
Main To Gum Tha Tere Dhiyaan Main, Teri Aas Main, Tere Guman Main
Saba Keh Gayi Mere Kaan Main, Mere Pass Aa, Use Bhool Ja
Kisi Ankh Main Nahin Ashq-e-gam, Tere Baad Khuch Bhi Nahin Hai Kam
Tujhe Zindagi Ne Bhola Diya, To Bhi Muskura, Use Bhool Ja
Na Woh Ankh Hi Teri Ankh Thi, Na Woh Khawab Hi, Tera Khawab Tha
Dil-e-muntazir To Ye Kis Liye, Tera Jagna, Use Bhool Ja
Ye Jo Din Raat Ka Hai Kheel Sa, Use Dheekh, Us Pay Yakeen Na Ker
Nahin Aks Koi Bhi Mustakil, Sar-e-aina, Use Bhool Ja
Jo Bassat-e-jaan Hi Ult Gaya, Woh Jo Raste Se Palat Gaya
Use Rookne Se Husool Kya, Use Maat Bula, Use Bhool Ja.
Dedicate this song to sum 1 special : http://www.youtube.com/watch?v=J7zqs6PGjrA
Ussay apne fardaa ki fikar thi Jo mera waakif-e-haal tha
Wo jo uski subh-e-urooj thi Wohi mera waqt-e-zawal tha..
Mera dard kaise wo jaanta, Meri baat kaise wo maanta
Wo to khud fanaa ki safar mein tha Usat rokna bhe Muhaal tha..
Wo jo uss k saamnay aa gya wohi roshni mein nahaa gya
Ajab uski Heibat-e-Husan thi, Ajab usska Rang-e-Jamal tha..
Damm-e-wapsi usay kya hua, Na wo roshni, na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gya, Woh to aap apni misaal tha..
kahan jao gay mujhe chhor ker, Mein ye pooch pooch kar thak gya
Wo jawab mujhko na day saka, Woh toh khud sarapa sawaal tha..
Wo mila to sadiyon k baad bhi Mere lab pay koi gila na tha
Usay meri Chup nay rulaa diya jisay guftgu mein kamaal tha..
Wo mujh se mil k ro diya, Mujhe Faqt itna wo keh sakaa
Jisay jaanta tha mein zindgi Woh to sirf Wehm-o-khyaal tha.......
© 2021 Created by + M.Tariq Malik.
Powered by
Promote Us | Report an Issue | Privacy Policy | Terms of Service
We have been working very hard since 2009 to facilitate in learning Read More. We can't keep up without your support. Donate.
We are user-generated contents site. All product, videos, pictures & others contents on site don't seem to be beneath our Copyrights & belong to their respected owners & freely available on public domains. We believe in Our Policy & do according to them. If Any content is offensive in your Copyrights then please email at m.tariqmalik@gmail.com Page with copyright detail & We will happy to remove it immediately.
Management: Admins ::: Moderators
Awards Badges List | Moderators Group
All Members | Featured Members | Top Reputation Members | Angels Members | Intellectual Members | Criteria for Selection
Become a Team Member | Safety Guidelines for New | Site FAQ & Rules | Safety Matters | Online Safety | Rules For Blog Post